Monday, 24 December 2012

Shayaris for all………Nice collection


Kisi ke naam se pahle Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle

Tum yaad humain bhi ker lena Ho raat akeli pichlay paiher or
Chand gagan main aa jaye,

Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye.
Kuch khuwab saja kr palkoun pay
Tum chand say batein kr laina,

Hum yaad tumhay to kartay hain
tumYaad humain bhi ker laina.

Kuch bat na ho jb aisay he
num ankh Tumhari ho jaye,
Tum bat kahi per karty ho,
dil or Kahi per kho jaye.
Jazbat k aisay alam main
Muskan laboun par bhar laina,

Hum yaad tumhe to krtay hain,
Tum yaad humain bhi kr lena..

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon

Waqt-e-dua main ek dua karon Waqt-e-dua main ek dua karon,
main rab se ek eltija karon,

tu khush rahe,
tu shaad rahe,
teray dil ka angar abaad rahay,
tu har pal yun hi hansa kare,
tu phulon ki manind khila kare,
teri zindagi main koi ghum na ho,
teri aankh kabhi num na ho,
tujhey kisi se koi gila na ho,
koi dukh tujhey mila na ho,
teri rad kabhi dua na ho,
tee lab py koi sada na ho,
tujhey bin mange wo ataa karay,
teri maaf her ek khata karay….!

Ameen..!

Abhi kuch dair baqi hai…!! Abhi kuch dair baqi hai…!!
Khizan k beet janay main,
Guloun k Muskuranay main,
Khushi k geet ganay mein,
Baharon k zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!
Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!

Farz karo..! farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.

farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.

farz karo tum baithe baithe
gehri souch main kho jao.

baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.

farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.

bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.

farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.

khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.

farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.

nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.

farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.

farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.

farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.

farz karo ye saari baatain
FARZ na karni pardti hoon

aik mein bhi tanha they sau(100) mein bhi akailey hein Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein
bheer hey qayamat ki …phir bhi hum akailey hein

sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir
aap hein udher tanha …hum idher akailey hein

bheer hey qayamat ki …phir bhi hum akailey hein

ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein
aap se bichar ker hum kis kadar akailey hein

kon kis ka sathi hey hum to gham ki manzil mein
pehley bhi akailey they …aaj bhi akailey hein

aainey ke soo tukrey ker ke hum ne dekhey hein
aik mein bhi tanha they soo mein bhi akailey hein

bheer hey qayamat ki phir bhi hum akailey hein
zindagi ki raahon mein ranj-o-gham ke mele hein

paas hey sawa jiskey eik na ik haseen katil
justiju mein katil ke …siraf hum akailey hein

bheer hey qayamat ki … phir bhi hum akailey hein
zindagi ki rahoon mein ranj-o-gham ke mele hein

Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon? Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?

Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.

Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.

Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,

Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.

Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.

Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.

Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.

Hum Nahi Chahatay Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….

Main duniya bhool jata hon Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

Aik pyari si larki hay wo Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,

Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,

Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,

Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,

Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,

Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,

Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Ejazat day do Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,

Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,

Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do

A Ghazal by Husband Jab se begum ne mujhe murgha bana rakha hai,
Main ne nazron ki tarhan sir bhi jhuka rakha hai,

Bartano aaj mere sir pe baraste kion ho ?
Mein ne dho dha k tumhain kitna saja rakha hai,

Roz leti he talashi wo police ki manind,
Pochti he kahan paison ko chupa rakha hai,

Wahi duniya main muqaddar ka sikandar tehra,
Jis ne khud ko yahan shadi se bacha rakha hai,

Pi ja is maar ki talkhi ko bhi has k shohar,
Mar khane mein bhi qudrat ne maza rakha hai..

Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di,

Kusoor Unka Nahi Hamara Hai
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di.

Saza Dene Wale Raza Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain,

Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain,

Kuch log bohut yaad aate hain Jub yad ka album kholon to,
Kuch log bohut yad ate hain,

Main guzre dinon ka sochon to,
Kuch log bohut yaad ate hain,

Ab jane kis nagri main,
Soay pare hain muddat se,
Main raat gaye tuk jaogon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Kuch batein theen pholon jesi,
Kuch khushbo jese lehje thy,

Mein sheher-e-chaman mein tehlon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Wo pal bhar ki narazgiyan,
Aur maan bhi jana pal bhar main,
Ab khud se jub bhi rothon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Kya khabar tum ko dosti kya hai Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Wo yar hamara kaisa hai ? Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,

Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,

Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,

Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,

Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.

Aisa kabhi na karna Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na kerna,

Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na kerna,

Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na karna,

Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na karna….!!

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya

Mujhey tum yaad aatay ho Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Na koi rishta hay tum se na koi talluk Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

Kisi se pyar kertay ho Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,

Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho

Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho

Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho

Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho

To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho

0 comments:

Post a Comment

 

Copyright © Hot Photos Design by O Pregador | Blogger Theme by Blogger Template de luxo | Powered by Blogger